People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

Jo Tum Badle Jaha Badla
Singer: Suraiya
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Video:
ishk me mehrumiya nakamiya barbadiya
meri kismat me jo, likha hai mujhe malum hai
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
ye aasu char baki hai, nishani dil lagane ki
jo tum badle jaha badla

ujadna isko kahte hai bigadna isko kahte hai
ke natin ke rahe na sakh baaki ashiyane ki
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
ye aasu char baki hai, nishani dil lagane ki
jo tum badle jaha badle

jara ruk ja o mere aasuo, bahne se ruk jao
abhi to ibtida hai mere, gum ke fasane ki
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
jo tum badle jaha badla, nazar badli zamane ki
ye aasu char baki hai, nishani dil lagane ki
jo tum badle jaha badla
Lab Pe Fariyad Hai
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Video:
lab pe fariyaad hai dil barbaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai

hamane samajhaa thaa apanaa bhi hoga koi
haay qismat hamaaraa koi nahi
mere gam ki kahaani kaun sune
duniyaa me sahaaraa koi nahi
lab pe fariyaad hai dil barabaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai

teri yaad se dil aabaad kiya
par tune na bhul ke yaad kiya
aur isape sitam mere saamne hi
tune gair kaa ghar aabaad kiya
lab pe fariyaad hai dil barbaad hai
lekin barbaad dil me tu hi aabaad sajaniya
tu hi aabaad hai
Dil De Diya Hai
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Dil-De-Diya-Hai-Tujhko-Nikal-Kar/KD5YYwxEQwo
Video:
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji

armaano bhara ye dil hai
tujhse pyaar karun mushkil hai
armaano bhara ye dil hai
tujhse pyaar karun mushkil hai
ja re buddhe
o ja re buddhe teri hai har baat farji
ja re buddhe
o ja re buddhe teri hai har baat farji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji

mar raha hun bacha lo ji bacha lo
aisi baate na muh se nikaalo
mar raha hun bacha lo ji bacha lo
aisi baate na muh se nikaalo
main to thane me
o main to thane me de dungi jaake arji
main to thane me
o main to thane me de dungi jaake arji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji

main lagaun tere ghar ke fere
main na hath aaungi tere
main lagaun tere ghar ke fere
main na hath aaungi tere
kaahe pichhe pade ho
ho kaahe pichhe pade ho hath dho kar ji
kaahe pichhe pade ho
ho kaahe pichhe pade ho hath dho kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
dil de diya hai
dil de diya hai tujhko
nikaal kar ji
ab raakho ya todo tumhari marji
ho ab raakho ya todo tumhari marji
tumhari marji nahi tumhari marji
haay tumhari marji, ni ni ni tumhari marji
ha tumhari marji
Kyun Karta Man Jawani
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Tu-Ek-Bulbula-Paani-Ka/BAUgWDhkaH0
Video:
kyu karta maan jawani ka
kyu karta maan jawani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka
kyu karta maan jawani ka
kyu karta maan jawani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka

ye raunak sari do din ki
ho do din ki
ho do din ki
jiwan phulwari do din ki
ho do din ki
ho do din ki
kyu karta tera mera hai
na tera hai na mera hai
kyu karta tera mera hai
na tera hai na mera hai
duniya hai naam kahani ka
duniya hai naam kahani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka
kyu karta maan jawani ka
kyu karta maan jawani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka

ye rup jawani rang rahe
na rang rahe
na rang rahe
sada koi bhi tere sang rahe
na sang rahe
na sang rahe
jo dekh raha hai sapna hai
koi na tera apna hai
jo dekh raha hai sapna hai
koi na tera apna hai
duniya hai naam kahani ka
duniya hai naam kahani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka
kyu karta maan jawani ka
kyu karta maan jawani ka
tu ek bulbula pani ka
tu ek bulbula pani ka
Baat Taku Mai Teri
Singer: Suraiya
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Baat-Takoon-Main/GDoFeR1WYl4
Video:
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke

ho sawan aaya hai aayi thandi hawaye
thandi hawaye
ho sawan aaya hai aayi thandi hawaye
thandi hawaye
sath sath layi hai wo kali ghataye
kali ghataye
sath sath layi hai wo kali ghataye
kali ghataye
acha nahi rahna duniya se dar ke
acha nahi rahna duniya se dar ke
aaja mere balma bahana kar ke
aaja mere balma bahana kar ke

pak gayi ankhiya tak tak raah
pak gayi ankhiya tak tak raah
dil me jagi hai tere milne ki chah
milne ki chah
dil me jagi hai tere milne ki chah
milne ki chah
tere milne ko mera jiya dhadke
tere milne ko mera jiya dhadke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke

ho ke diwani main to tere pyar me
tere pyar me
ho ke diwani main to tere pyar me
tere pyar me
khadi hu sajan tere intzaar me
intzaar me
khadi hu sajan tere intzaar me
intzaar me
dil me aankho me teri yad bharke
dil me aankho me teri yad bharke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke
baat taku main teri kothe chadh ke
baat taku main teri kothe chadh ke
aaja mere balma bahana karke
aaja mere balma bahana karke
Jo Tum Badle Jaha Badla-1
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Ishq-Humein-Barbad/BiQDHEx8ZlU
Video:
ishq mein maharoomiyaan naakaamiyaan barabaadiyaan
meri qismat mein jo likkha hai mujhe maaloom hai

jo tum badale jahaan badala nazar badali zamaane ki -2
ye aansu chaar baaki hain nishaani dil lagaane ki
jo tum badale jahaan badala

ujadana isako kahate hain bigadana isako kahate hain
ke na tinake rahe na shaak baaqi aashiyaane ki

jo tum badale jahaan badala nazar badali zamaane ki -2
ye aansu chaar baaki hain nishaani dil lagaane ki
jo tum badale jahaan badala

zara ruk jaao mere aansuon bahane se ruk jaao
abhi to ibteda hi hai mere gam ke fasaane ki

jo tum badale jahaan badala nazar badali zamaane ki -2
ye aansu chaar baaki hain nishaani dil lagaane ki
jo tum badale jahaan badala
Chuk Chuk Chale Hamari Rail
Lyricist: Mulkraj Bhakri
Album: Naach(1949)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naach/Chhuk-Chhuk-Chale-Humari-Rail/KBtTUEBCYFA
Video:
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
ye hai aag paani ka mel
dekho angrejo ka khel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel

liye ja rahi hai ye kisi ko
bichhda sajan milaane
liye ja rahi hai ye kisi ko
bichhda sajan milaane
koi chhod apne sangi ko
chala hai dur thikaane
koi chhod apne sangi ko
chala hai dur thikaane
kismat se hi hote hai ji
bichhdo ke fir mel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel
ye hai aag paani ka mel
dekho angrejo ka khel
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel

malai hai malai, malai hai malai
tore hantho ne banai
tore hantho ne banai
kunwara bhi khaaye to mil jaaye lugaai
mil jaaye lugaai
puchh lo ise isne parso ki khaai
parso ki khaai
malai hai malai, malai hai malai

baalam more ka shahar hai delhi
baalam more ka shahar hai delhi
chhoti bajariya me unchi haweli
chhoti bajariya me unchi haweli
maika hai mora bich bareli
maika hai mora bich bareli
wahi ki ticket katai ve
wahi ki ticket katai ve

guard babu o guard babu
guard babu o guard babu
gaadi jaldi jaldi khench
chhak chhak chali humari rel
chhak chhak chali humari rel